Friday, December 5, 2008

Kabhi iqraar karta hai,Kabhi inkaar karta hai,
Kabhi bewaja dhadkan kowo beqarar karta hai,
Samajh aata nahi ye bhala chahe hai kya,
Kyu bar bar dil kissi se pyar karta hai..

Har bar wahi chot,wahi dard-o-gum ka fasana,
phir bhi naasamajh Khud hi ko bejaar karta hai..

Samajhao toh na samjhe hai ye,Har bar ja fisale,
Har haseena ko dekh khud ko,Bebas laachaar karta hai..

Khud hi roye hai phir,Tadpe raaton ko tanhai mein,
har katra-e-lahoo ko ansoon mein bekaar karta hai..

Phir naya din ho,Nayi subah, nayi ladki,
Phir ek naya chehra aaine mein saakaar karta hai..;) :P

No comments: