Friday, December 5, 2008

Badi ummeed se hasraton ka diya jalaya hai,
Khoye lamho ko sanjo kar gulistan banaya hai,
Waqt ki aandhi se phir kashmakash hai meri,
Chand ehsaason se iss dil ko phir sajaya hai..
Jeene marne mein fark ko mehsoos kar saku,
Jindagi ko uss makam pe lane ki koshish hai,
Jin shigafon se beh ka nikal gaye jajjbaat,
Unhe phir waqt ke marhum se chupaya hai..
Gardish mein sitare sahi, gum kyu ho bhala,
Wo mayoosi kyu labon pe sada thirakti rahe,
Issi ek soch ke sajde kiye hai sab maine,
Ek muskan ka labon ko aashiyaan banaya hai..
Har dard ko dafan kiye chala main raah mein,
Har chot ke zakhm ko seene par hi liya maine,
Kuch bhi kahe jahan ab parwah hai kisko,
Aye jindagi maine toh tera saath hi nibhaya hai..

No comments: