Thursday, September 30, 2010

Ayodhya ke bad

Ab ye raat dhal rahi hai, sunehre ujaale nikal rahe hain,

Ummeedon ke sath hum bhi, badastoor chal rahe hain..

Phir upvan ke aangan mein yahan, khusbu hua karegi,

Sharmayi si har kaliyan, bhavron se mila karengi,

Fizayen badal rahi hain, mausam badal rahe hain,

Ummeedon ke sath hum bhi, badastoor chal rahe hain..

Nafrat na jeeti hai kabhi, uske mukaddar mein haar hi hai,

Itne dino ka uska jeewan, muhabbat pe udhaar bhi hai,

Aag dharmon ki bujh rahi hai, pyar ke phool khil rahe hain,

Ummeedon ke sath hum bhi, badastoor chal rahe hain..

Phir naa koi mandir-masjid ka mamla chalega,

Phir na kissi godhra mein, baccha koi jalega,

In majahabi takaton ke, hausale fisal rahe hain,

Ummeedon ke sath hum bhi, badastoor chal rahe hain..

Tuesday, September 28, 2010

Mujhe hosh nahi

Mujhe na aur pilao ki mujhe hosh nahi hai,

Sitam yun dil pe na dhao ki mujhe hosh nahi hai..

Mujhe malum hai paimano ka imaan nahi hota,

Mai chalkate nigahon ka koi bhagwan nahi hota,

Kuch toh taras hi khao ki mujhe hosh nahi hai..

Mujhe na aur pilao ki mujhe hosh nahi hai..

Teri muhabbat ka ye nasha toh kabhi kam nahi hota,

Sooni raton mein basere sa koi gum nahi hota,

Mujhe na aur jagao ki mujhe hosh nahi hai..

Mujhe na aur pilao ki mujhe hosh nahi hai..

Akelepan ki iss syaahi se dil bhi syaah hua hai,

Tujhse ye doori bhala dil ke liye kam kya saza hai,

Ismein muskaan na milao ki mujhe hosh nahi hai..

Mujhe na aur pilao ki mujhe hosh nahi hai..

Kuch kar sakte ho toh marhum hi laga do dil par,

Ek ehsaan tum taa-umar laga do dil par,

Sab rasme todd ke aao ki mujhe hosh nahi hai,

Mujhe na aur pilao ki mujhe hosh nahi hai..

Sitam yun dil pe na dhao ki mujhe hosh nahi hai..

Hum nahi roye

Kabhi haalaat, kabhi jajjbat mein kam nahi roye,

Ek aisa din nahi beeta hai ki jab hum nahi roye…

Wo judai ki kasak, wo tumhari pyaar ki batein,

Wo guzri tere pehlu mein meri rangeen raatein,

Inhi khayalon mein jaage hai ab hum nahi soye,

Ek aisa din nahi beeta hai ki jab hum nahi roye…

Wo meri naasamajh baton pe tera khikhila dena,

Kabhi sharma ke bas yu hi tera palkein jhuka dena,

Ye yaadein aaj bhi barbas meri palkon ko bhigoye,

Ek aisa din nahi beeta hai ki jab hum nahi roye…

Tujhse dur reh ke ab toh ek pal jee na payenge,

Gar aaya na tu toh yu bhi hum toh mar hi jayenge,

Geeli ankhein sahi par khwab hai humne bhi sanjoye,

Ek aisa din nahi beeta hai ki jab hum nahi roye…

Monday, May 24, 2010

Shradhaanjali

‘Ghalib’ ke shabdon pe hum toh marte hain,
‘Mir’ ke ghazalon mein jeewan ye basar karte hain.

Dhoond lete hai khushiyan ‘Gulzar’ ke dum pe,
Apne raaton ko roshini e ‘Badar’ karte hain.

Kabhi har jaate hai dil apna ‘Amir Khusro’ par,
Phir bhi sabke liye rukhsar e ‘Zafar’ karte hain,

Dekh li kabhi dunia ‘Jigar’ ke chashme se,
Kabhi ‘Firaaq’ ko samajh ye nazar karte hain.

Hue hain aur sukhanwar bahut se dunia mein,
Jinke sajde mein hum apna sar karte hain.

Mere maula shukra hai tera tahe dil se,
Humne jana hai shabd kitna asar karte hain.

Friday, December 5, 2008

Sabhi poochte hai mujhse jindagi kya hai,
Main poochta hu khuda ki bandagi kya hai,
Jisse dekha nahi uss se hai itna pyar phir bhi,
Jinda insaano se ye sabki dushmani kya hai..

Apne liye jiya karte hain jaanwar bhi yahan,
Khud se bhala ye teri dosti kya hai..

Jo ek aansoo na pooch paye kissi ke ab tak,
Aise jeene ki bhala tujhko aarzoo kya hai..

Gar insaniyat ka labz jan hi na saka tu,
Gaahe-ba-gaahe muskurane ki hasrat kya hai..

Jo jeena ka salika hi na aaya tujhe yahan,
Jindagi se bhala ye teri ulfat kya hai..

Har bat pe pooche hai jindagi kya hai..
Main poochta hu KHUD ki bandagi kya hai..
Wada karke mukar jaane ka chalan accha hai,
Tadapte dil ko tadpane ka chalan accha hai..

Kitne saste hai aaj dil iss bazzar-e-ishq mein,
Ek ko tod duja apnane ka chalan accha hai..

Kabhi sochta hu kyu kar bhala chahun kissi ko,
Bina chahe hi zindagi bitane ka chalan accha hai..

Nahi ulfat hai kissi se, naa hi nafrat hai kissi se,
Nayi deewangi mein deewane ka chalan accha hai..

Kare shikayat koi gar toh bhale hi kiya kare,
Iss sauda-e-muhabbat pe muskurane ka chalan accha hai.
Zindagi ki ye kitaab hum padhen kaise,
Har or se ye toh ulti hi nazar aati hai..

Jitna bhi chah le par dil muskura nahi pata,
Mehfil mein toh tanhai bhi badhti jati hai..

Nahi gila phir bhi koi, shikwa bhi kyu karen,
Jo bhi toot ke chaho wo na hath aati hai..

Shayad yahi jeewan ka saccha makam hai,
Ki makam par kissi zindagi teher na pati hai..

Gar ho haasil har manzil toh jeene ki lalak kahan,
Issi ek soch se zindagi ye chalti jaati hai..